Hasan Aabid

mujhe kisi se kisi baat ka gila hi nahin

Hasan Aabid

mujhe kisī se kisī baat kā gilā hī nahīñ
ki apne dil ke sivā koī mudda.ā hī nahīñ
tirā karam mire din kulfatoñ ke yuuñ guzre
mujhe lagā ki mire saath kuchh huā hī nahīñ
lahūluhān ho dil yā qalam ho sar jaanā
tirī galī ke sivā koī rāsta hī nahīñ
ki jis meñ phuul khileñ aur chaman mahak uThe
ye vo sahar hī nahīñ hai ye vo havā hī nahīñ
hai ḳhush-mizāj magar dil kī baat kaise kareñ
ki ek pal ko sahī vo kabhī khulā hī nahīñ
ajab haiñ ishq kī nāzuk-mizājiyāñ ya.anī
bujhā charāġh-e-mohabbat to phir jalā hī nahīñ
ye kyā jagah hai koī sun nahīñ rahā āvāz
pukārtā huuñ magar koī boltā hī nahīñ
Top Urdushayar.com