ek tūfān kā sāmān banī hai koī chiiz
aisā lagtā hai kahīñ chhūT ga.ī hai koī chiiz
sab ko ik saath bahā.e liye jaatā hai ye sail
vo talātum hai ki achchhī na burī hai koī chiiz
ek maiñ kyā ki mah o saal uḌe jaate haiñ
ai havā tujh se zamāne meñ bachī hai koī chiiz
ishq ne ḳhud ruḳh-e-gulnār ko baḳhshā hai faroġh
varna kab apne banā.e se banī hai koī chiiz
yaanī zaḳhmoñ ke gulistāñ pe bahār aa ga.ī phir
yaanī ab bhī mirī āshufta-sarī hai koī chiiz
shā.irī kyā hai mujhe bhī nahīñ mālūm magar
log kahte haiñ ki ye dil kī lagī hai koī chiiz