gul hue chāk-garebāñ sar-e-gulzār ai dil
ban gayā rañg-e-chaman bā.is-e-āzār ai dil
sham.a-rū ho ga.e fānūs-e-haram ke qaidī
ab kahāñ raushnī-e-garmī-e-bāzār ai dil
silsila ātish-e-sozāñ kā hai darpesh junūñ
ab na dīvār na hai sāya-e-dīvār ai dil
shīsha-e-ḳhvāb jo TuuTā to vo āsār ga.e
chashm-e-bedār bhī hai nargis-e-bīmār ai dil
halqa-e-dīd meñ hai paikar-e-manzar bhī asiir
ham hue apnī hī āñkhoñ ke giraftār ai dil
jalva-e-husn-e-tamannā hai unheñ aks-e-jamāl
jo sarāboñ meñ haiñ sahrā ke giraftār ai dil
raas aa.ī hameñ shab-gardī-o-be-rāh-ravī
ḳhuub āzād hue tere giraftār ai dil
shaam ke saa.e lapakte chale aate haiñ so ab
jo bhī kuchh hai vo hai girtī huī dīvār ai dil