vaqt ajiib chiiz hai vaqt ke saath Dhal ga.e
tum bhī bahut badal ga.e ham bhī bahut badal ga.e
mere laboñ ke vāste ab vo samā.ateñ kahāñ
tum se kaheñ bhī kyā ki tum duur bahut nikal ga.e
tez havā ne har taraf aag bikher dī tamām
apne hī ghar kā zikr kyā shahr ke shahr jal ga.e
mauja-e-gul se ham-kanār ahl-e-junūñ ajiib the
jaane kahāñ se aa.e the jaane kidhar nikal ga.e
shauq-e-visāl thā bahut so hai visāl hī visāl
hijr ke rañg ab kahāñ mausam-e-ġham badal ga.e
sūrat-e-hāl ab ye hai ki log ḳhilāf haiñ mire
ai mire ham-ḳhyāl-o-ḳhvāb tum to nahīñ badal ga.e
bū-e-gul aur hisār-e-gul ahl-e-chaman pe zulm hai
apnī hudūd-e-zāt se jaan ke ham nikal ga.e
āb-e-hayāt jaan kar zahr piyā gayā yahāñ
zahr bhī ḳhāmushī kā zahr-e-jism tamām gal ga.e
sham-e-badan bhī the ka.ī rāh-e-junūñ meñ ham-safar
tāb-e-muqāvamat na thī dhuup paḌī pighal ga.e