ye aur baat shajar sar-nigūñ paḌā huā thā
zamīñ se us ne magar rābta rakhā huā thā
vahīñ vahīñ se gavāhī milī mire sach kī
jahāñ jahāñ se mirā pairahan phaTā huā thā
mujhe kisī kā to honā thā haar jiit ke ba.ad
mirā vajūd vahāñ daav par lagā huā thā
mirī nigāh meñ thī surḳh mahmaloñ kī qatār
aur in meñ ek kajāva bahut sajā huā thā
añdhere noch rahe the jamāl dhartī kā
mirī zamīn kā sūraj kahīñ gayā huā thā
mire huzūr farishte jhukā.e jā rahe the
mirā ḳhamīr abhī chaak par rakhā huā thā
laraz rahe the kamānoñ meñ tiir dahshat se
mire 'husain' kā 'asġhar' kahāñ Darā huā thā