Mumtaz Gurmani

hum kahan azmat aslaf sambhaale hue hain

Mumtaz Gurmani

ham kahāñ azmat aslāf sambhāle hue haiñ
bas tire ishq se māthe ko ujāle hue haiñ
qais o farhād ta.iiñ apne havāle hue haiñ
ya.anī ham masnad-e-ushshāq sambhāle hue haiñ
jab bhī palTe haiñ hameñ haar dikhā.ī dī hai
ham ne sikke ye ka.ī baar uchhāle hue haiñ
pyaas lagtī hai inheñ dekh ke ai dasht-nashīñ
terī āñkheñ haiñ yā paanī ke pyāle hue haiñ
ham ne ik umr kitāboñ ke havāle kī hai
tab kahīñ jā ke kitāboñ ke havāle hue haiñ
ā.īna ban ke khaḌe haiñ tire dar par chup-chāp
kab tire sāmne ham bolne vaale hue haiñ
suud baḌhtā gayā sāñsoñ kā hamāre uupar
ham mohabbat meñ tirī qarz se kaale hue haiñ
maiñ bhī phir baiTh gayā dekhne qissa kyā hai
ret giilī hai yā phir paañv meñ chhāle hue haiñ
Top Urdushayar.com