apnī har baat zamāne se chhupānī paḌī thī
phir bhī jis aañkh meñ dekhā to kahānī paḌī thī
maiñ ne kuchh rañg churā.e the kisī titlī ke
aur phir umr hifāzat meñ bitānī paḌī thī
kal kisī ishq ke bīmār pe dam karnā thā
pīr-e-kāmil ko ġhazal merī sunānī paḌī thī
kūcha-e-ishq se nākām palaTne vaale
tū ne dekhā thā vahāñ merī javānī paḌī thī
dil na sah paayā kisī aur se qurbat us kī
mujh ko dīvār se tasvīr haTānī paḌī thī
maiñ bahut jald buḌhāpe meñ chalā aayā thā
bin tire umr kī raftār baḌhānī paḌī thī
us kī hasrat kā badan barf na ho jaa.e kahīñ
apne siine meñ mujhe aag lagānī paḌī thī
tere 'mumtāz' ko ġham maut kā bas is liye hai
apne bāloñ meñ tujhe ḳhaak ravānī paḌī thī