tujh se shikva na koī ranj hai tanhā.ī kā
thā mujhe shauq bahut anjuman-ārā.ī kā
kuchh to āshob-e-havā aur havas kī hai shikār
aur kuchh kaam baḌhā hai mirī bīnā.ī kā
aa.ī phir nāfa-e-imroz se ḳhushbu-e-visāl
khul gayā phir koī dar band pazīrā.ī kā
maiñ ne poshīda bhī kar rakkhā hai dar-parda-e-sher
aur bharam khul bhī gayā hai mirī dānā.ī kā
yaanī is baar bhī vo ḳhaak uḌī hai ki mujhe
ek khaTkā sā lagā rahtā hai rusvā.ī kā
shā.irī kaam hai merā so maiñ kahtā huuñ ġhazal
ye abas shauq nahīñ qāfiya-paimā.ī kā