Mumtaz Gurmani

mele mein gar nazar na aata rup kisi matwali ka

Mumtaz Gurmani

mele meñ gar nazar na aatā ruup kisī matvālī kā
phīkā phīkā rah jaatā tyauhār bhī is dīvālī kā
māyoñ baiThe rūp-sarūp ke rog se vāqif lagtī hai
āñchal bhīgā jaatā hai is dūlhan kī shahbālī kā
bartan bartan chīḳh rahī thī kaun samajhtā us kī baat
dil kā bartan ḳhālī thā us bartan bechne vaalī kā
gaal kī jānib jhuktī hai sharmātī hai haT jaatī hai
aaj irāda Thiik nahīñ hai jaan tumhārī baalī kā
shahzāde talvār thamā de ab darbān ke hāthoñ meñ
kah de ḳhālī haath na jaa.e ab ke baar savālī kā
phir 'mumtāz' kisī kī yādeñ kūñjeñ ban kar lauTeñg
mausam aane vaalā hai phir zaḳhmoñ kī hariyālī kā
Top Urdushayar.com