Mumtaz Gurmani

husn fani hai jawani ke fasane tak hai

Mumtaz Gurmani

husn faanī hai javānī ke fasāne tak hai

par ye kam-baḳht mohabbat to zamāne tak hai

vo milegā to shanāsā.ī diloñ tak hogī

ajnabiyyat to faqat sāmne aane tak hai

dasht meñ paañv dharā thā kabhī vahshat ke baġhair

ab vahī ret mire ā.īna-ḳhāne tak hai

shā.erī pīroñ faqīroñ vazīfa thā kabhī

ab to ye kaam faqat naam kamāne tak hai

chāñd gardūñ ko mayassar hai sahar hone tak

raqs-e-darvesh tire baam pe aane tak hai

maiñ mohammad ke ġhulāmoñ ġhulām ibn-e-ġhulām

aise nisbat usī pākīza gharāne tak hai

Top Urdushayar.com