fasīl-e-dil meñ dar kiyā ki rābta banā rahe
ise ḳhudā kā ghar kiyā ki rābta banā rahe
zamīñ pe apne jism kī thakan bichhā ke so gayā
bharosa ḳhaak par kiyā ki rābta banā rahe
sabhī gharoñ meñ aap hī muqīm thā isī liye
mujhe bhī dar-ba-dar kiyā ki rābta banā rahe
vo dushmanoñ kī saf meñ thā isī liye kalām bhī
kamān khīñch kar kiyā ki rābta banā rahe
use pasand aa ga.iiñ palak palak pe jhālareñ
so maiñ ne in ko tar kiyā ki rābta banā rahe
maiñ ḳhud-ġharaz meñ matlabī tabhī ḳhudā se pyaar bhī
kisī ke naam par kiyā ki rābta banā rahe
ye kūza-gar kā shauq thā tabhī to merī ḳhaak ne
thā raqs chaak par kiyā ki rābta banā rahe
kabhī maiñ karbalā gayā kabhī madīna o najaf
kahāñ kahāñ safar kiyā ki rābta banā rahe