Mumtaz Gurmani

main kam-sini ke sabhi khilaunon mein yun bikharta jawan hua tha

Mumtaz Gurmani

maiñ kam-sinī ke sabhī khilaunoñ meñ yuuñ bikhartā javāñ huā thā
dilā maiñ tere hasīñ ḳhayāloñ se Dartā Dartā javāñ huā thā
mujhe sitāroñ kī gardishoñ se Darā.egā kyā nasīb merā
ki maiñ bagūloñ ke saath sahrā meñ raqs kartā javāñ huā thā
baḌā ta.ajjub hai terī āñkhoñ kī ik tajallī se jal gayā huuñ
vagarna sho.aloñ kī aañkh par maiñ girā guzartā javāñ huā thā
usī kahānī ne rañg dī hai mirī javānī kī har nishānī
maiñ jis kahānī meñ zindagānī ke rañg bhartā javāñ huā thā
jo aaj siine ke ek kone meñ ḳhāmushī se paḌā huā hai
ye dil surayyā ke paar duniyā meñ paañv dhartā javāñ huā thā
nahīñ achambhe kī baat koī jo tujh pe 'mumtāz' mar miTā hai
ye shaḳhs pahle bhī terī paa.el pe martā martā javāñ huā thā
Top Urdushayar.com