galī kā patthar thā mujh meñ aayā bigāḌ aisā
maiñ Thokareñ khā ke ho gayā huuñ pahāḌ aisā
ḳhudā ḳhabar dil meñ koī aaseb hai ki is meñ
koī na aayā gayā paḌā hai ujaaḌ aisā
na sar uThā paa.e koī bhauñchāl mujh meñ ai vaqt
maiñ narm miTTī huuñ so mujhe tū latāḌ aisā
chahār jānib paḌe haiñ purze nigāh-o-dil ke
hamārā is ishq ne kiyā hai kabāḌ aisā
maiñ bhuul baiThā huuñ hañsnā 'fartāsh' bhuul baiThā
huā hai ḳhushiyoñ kā band mujh par kivāḌ aisā