kin bastiyoñ ke yaaro ham ḳhvāb dekhte haiñ
jañgal pahāḌ dariyā tālāb dekhte haiñ
begānī lag rahīñ haiñ mausam kī bārisheñ bhī
mahtāb sūratoñ ko be-āb dekhte haiñ
sach mai meñ jhuuT paanī itnā milā diyā hai
ab jis ko dekhte haiñ sairāb dekhte haiñ
ik zulf ke bhañvar se jaise nikal ke aa.e
ik jism kī nadī meñ girdāb dekhte haiñ
kal jis jagah paḌā thā paanī kā kaal ham par
aaj us jagah lahū kā sailāb dekhte haiñ
ai be-hunar sambhal kar chalnā hai shā.irī meñ
sher-o-suḳhan ke māhir ahbāb dekhte haiñ