kīsa-e-gul meñ band thī ḳhushbū
kis qadar ḳhud-pasand thī ḳhushbū
sar-nigūñ thā ġhurūr-e-ġhuncha-o-gul
sar-ba-sar sar-buland thī ḳhushbū
ahl-e-gulshan the mahv-e-rāmish-o-rañg
haañ magar fikrmand thī ḳhushbū
uḌ ga.ī āmad-e-ḳhizāñ se qabl
vāqa.ī aql-mand thī ḳhushbū
ān-e-vāhid meñ aa ke lauT ga.ī
āhuoñ kī zaqand thī ḳhushbū
daftar-e-gulsitāñ thā tūlānī
aur bas harf-e-chand thī ḳhushbū
mūjib-e-ishq thī magar 'fartāsh'
āgahī thī na pand thī ḳhushbū