vo apnī zaat meñ gum thā nahīñ khulā mire saath
rahā hai saath mire par nahīñ rahā mire saath
ye terī yaad kā e.ajāz hī to hai ki ye dil
maiñ jal ke raakh huā huuñ nahīñ jalā mire saath
tire ḳhilāf kiyā jab bhī ehtijāj ai dost
mirā vajūd bhī shāmil nahīñ huā mire saath
mirā jo rasta thā dar-asl rāsta thā vahī
ye aur baat zamāna nahīñ chalā mire saath
nibhā sakā na ta.alluq koī bhī maiñ 'fartāsh'
yahāñ hai kaun ki jis ko nahīñ gila mire saath