Fartash Syed

han kabhi ruh ko naKHchir nahin kar sakta

Fartash Syed

haañ kabhī ruuh ko naḳhchīr nahīñ kar saktā
tujh zabāñ ne jo kiyā tiir nahīñ kar saktā
chāñd hotā to ye mumkin thā magar chāñd nahīñ
so maiñ us shaḳhs ko tasḳhīr nahīñ kar saktā
maiñ kahāñ aur ye āyāt-e-ḳhad-o-ḳhāl kahāñ
mus.haf-e-husn maiñ tafsīr nahīñ kar saktā
aañkh ne dekhā sar-e-shām vo manzar 'fartāsh'
karnā chāhūñ bhī to tasvīr nahīñ kar saktā
Top Urdushayar.com