Fartash Syed

dar-e-faqir pe jo aae wo dua le jae

Fartash Syed

dar-e-faqīr pe jo aa.e vo duā le jaa.e
davā-e-dard koī dard-e-lā-davā le jaa.e
visāl-e-yār kī ab sirf ek sūrat hai
hamārī ḳhaak uḌā kar vahāñ havā le jaa.e
to jaan jaa.e mirā dukh jo tere pahlū se
koī bhī aa.e tire dost ko uThā le jaa.e
kisī jazīra-e-nādīda kī talab thī hameñ
ab is pe hai ki jahāñ ham ko nāḳhudā le jaa.e
zamāna-sāz hai 'fartāsh' us ke kyā kahne
ki ḳhud hī qatl kare aur ḳhūñ-bahā le jaa.e
Top Urdushayar.com