Fartash Syed

saf-e-matam pe jo hum nachne gane lag jaen

Fartash Syed

saf-e-mātam pe jo ham nāchne gaane lag jaa.eñ
gardish-e-vaqt! tire hosh Thikāne lag jaa.eñ
vo to vo us kī ma.īyat meñ guzārā huā pal
jo bhulā.eñ to bhulāne meñ zamāne lag jaa.eñ
mire qādir! jo tū chāhe to ye mumkin ho jaa.e
raftagāñ shahr-e-adam se yahāñ aane lag jaa.eñ
bazm-e-duniyā se chalūñ aisā na ho sab mire yaar
ek ek kar ke mujhe chhoḌ ke jaane lag jaa.eñ
ḳhvāhish-e-vasl! tirā kyā ho jo ham sāl-ba-sāl
ashra-e-soz ġham-e-hijr manāne lag jaa.eñ
ham samajh paa.e na 'fartāsh' mizāj-e-ḳhūbāñ
dil churā.eñ to kabhī āñkheñ churāne lag jaa.eñ
Top Urdushayar.com