ham haiñ bas izn-e-safar hone tak
ḳhaak aur ḳhāk-ba-sar hone tak
kaise kaise haiñ marāhil darpesh
apne hone kī ḳhabar hone tak
kyā ajab vasl kī ḳhvāhish na rahe
hijr kī raat basar hone tak
dil-e-ḳhush-fahm tirī ḳhush-fahmī
muntashir gard-e-safar hone tak
sar-ba-sajda haiñ dar-e-'ġhālib' par
ḳhush-suḳhan ahl-e-nazar hone tak