Mahtab Haider Naqvi

phir kisi KHwab ki palkon pe sawari aai

Mahtab Haider Naqvi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1955
phir kisī ḳhvāb kī palkoñ pe savārī aa.ī
ḳhush-umīdī ko liye bād-e-bahārī aa.ī
phuul aa.e haiñ na.ī rut ke na.ī shāḳhoñ par
mauja-e-māh-e-dil-e-ārām kī baarī aa.ī
nā-murādāna kahīñ umr basar hotī hai
shād-kāmī ke liye yaad tumhārī aa.ī
aur phir phail gayā rang-e-mohabbat ruḳh par
lāla-e-zaḳhm liye yaar kī yaarī aa.ī
ik din ham ne zabāñ khol dī sach kahne ko
aur phir shāmat-e-a.amāl hamārī aa.ī
havas-e-ishq ke ahvāl baham karne ko
parda-e-sher meñ afsāna-nigārī aa.ī
Top Urdushayar.com