Fartash Syed

gundh ke miTTi jo kabhi chaak pe aa jati hai

Fartash Syed

gundh ke miTTī jo kabhī chaak pe aa jaatī hai
baat be-mehrī-e-aflāk pe aa jaatī hai
āsmānoñ pe uḌo zehn meñ rakkho ki jo chiiz
ḳhaak se uThtī hai vo ḳhaak pe aa jaatī hai
rañg-o-ḳhushbū kā kahīñ koī kare zikr to baat
ghuum phir kar tirī poshāk pe aa jaatī hai
bikhrā bikhrā sā hai andāz-e-takallum un kā
aur tohmat mire idrāk pe aa jaatī hai
naḳhl mahfūz raheñ bād-e-havādis jo chale
ek aafat ḳhas-o-ḳhāshāk pe aa jaatī hai
chhoḌ jaa.e jo koī chāhne vaalā 'fartāsh'
zindagānī rah-e-saffāk pe aa jaatī hai
Top Urdushayar.com