ġham-e-hayāt kā jhagḌā miTā rahā hai koī
chale bhī aao ki duniyā se jā rahā hai koī
kaho ajal se zarā do ghaḌī Thahar jaa.e
sunā hai aane kā va.ada nibhā rahā hai koī
vo aaj lipTe haiñ kis nāzukī se lāshe se
ki jaise rūThe huoñ ko manā rahā hai koī
kahīñ palaT ke na aa jaa.e saañs nabzoñ meñ
hasīn hāthoñ se mayyat sajā rahā hai koī