ham-safar hotā koī to baañT lete dūriyāñ
raah chalte log kyā samjheñ mirī majbūriyāñ
muskurāte ḳhvāb chuntī gungunātī ye nazar
kis tarah samjheñ mirī qismat kī nā-manzūriyāñ
hādsoñ kī bhiiḌ hai chaltā huā ye kārvāñ
zindagī kā naam hai lāchāriyāñ majbūriyāñ
phir kisī ne aaj chheḌā zikr-e-manzil is tarah
dil ke dāman se lipaTne aa ga.ī haiñ dūriyāñ