terā merā jhagḌā kyā jab ik āñgan kī miTTī hai
apne badan ko dekh le chhū kar mere badan kī miTTī hai
ġhairoñ ne kuchh ḳhvāb dikhā kar niiñd churā lī āñkhoñ se
lorī de de haar ga.ī jo ghar āñgan kī miTTī hai
soch samajh kar tum ne jis ke sabhī gharauñde toḌ diye
apne saath jo khel rahā thā us bachpan kī miTTī hai
chal nafrat ko chhoḌ ke 'anjum' dil ke rishte joḌ ke 'anjum'
us miTTī kā qarz utāreñ apne vatan kī miTTī hai