rañg-e-gul aur lagā mauj-e-sabā aur lagī
kis ke aane se gulistāñ kī fazā aur lagī
aaj maa.il hai vo ikrām-o-ināyāt pe kyā
kyuuñ hameñ kūcha-e-jānāñ kī havā aur lagī
laḌkhaḌāne pe kise raqs kā hotā hai gumāñ
fasl-e-gul aa.ī to phir laġhzish-e-pā aur lagī
dil dhaḌakne ke haiñ ādāb magar tere huzūr
jaane kyuuñ siine meñ dhaḌkan kī adā aur lagī
kis tarah kahtā koī tujh ko sitamgar ai dost
sach to ye hai ki hameñ terī jafā aur lagī