Mahmood-ul-Hasan

shahr-e-dil ujDa to barbaad hua kya kya kuchh

Mahmood-ul-Hasan

shahr-e-dil ujḌā to barbād huā kyā kyā kuchh
naqsh-bar-āb kī mānind miTā kyā kyā kuchh
dard-e-dil kāhish-e-jāñ soz-e-darūñ dāġh-e-jigar
be-talab terī ināyat se milā kyā kyā kuchh
uff ye begāngī-o-tark-e-ta.alluq kā azaab
pā ga.e ham bhī vafāoñ kā sila kyā kyā kuchh
kaisā insāf hai ye kaisī adālat hai tirī
dī hai nā-karda ḳhatāoñ kī sazā kyā kyā kuchh
kab ḳhabar hotī hameñ kaun kahāñ se aayā
kah gayā chupke se naqsh-e-kaf-e-pā kyā kyā kuchh
rāhat-e-vasl mohabbat kā nasha dard-e-firāq
tirī chāhat ne mirī jaan diyā kyā kyā kuchh
lab tire kis liye iqrār-e-mohabbat karte
aañkh hī kah ga.ī ai jān-e-vafā kyā kyā kuchh
Top Urdushayar.com