Mahmood-ul-Hasan

ab nahin koi jabin mah-e-daraKHshan ki tarah

Mahmood-ul-Hasan

ab nahīñ koī jabīñ māh-e-daraḳhshāñ kī tarah
ab koī aañkh nahīñ chashm-e-ġhazālāñ kī tarah
ab kahīñ bhī nazar aate nahīñ aariz ke gulāb
ab koī zulf kahāñ sumbul-o-raihāñ kī tarah
is bhare shahr meñ ab koī zuleḳhā hī nahīñ
ek chehra bhī nahīñ sūrat-e-jānāñ kī tarah
kījiye bhī to kahāñ us ruḳh-e-zebā kī talāsh
koī kūcha hī nahīñ kū-e-nigārāñ kī tarah
zindagī ban ga.ī ik soz-e-darūñ tere baġhair
kaaTe kaTtī hī nahīñ hai shab-e-hijrāñ kī tarah
le ke aa.ī tirī yādoñ ke mahakte hue phuul
koī mausam hī nahīñ fasl-e-bahārāñ kī tarah
jān-e-jāñ merī vafāoñ kā sila do ki na do
kaun chāhegā tumheñ is dil-e-nādāñ kī tarah
Top Urdushayar.com