hai ḳhāk-basar sabā mire ba.ad
gulshan kī phir havā mire ba.ad
thī jā-e-visāl manzil-e-gor
hāsil huā mudda.ā mire ba.ad
ai tap na jalānā ustuḳhāñ ko
māyūs na ho humā mire ba.ad
qātil ne bahā.e laash par ashk
thā bas yahī ḳhūñ-bahā mire ba.ad
yuuñ ḳhaak meñ maiñ milā ki us ne
paayā na mirā patā mire ba.ad
kī daaġh ne ḳhaak se tarāvish
gul qabr se ye khilā mire ba.ad
auroñ pe karoge jab jafā.eñ
yaad aa.egī ye vafā mire ba.ad
go maiñ na rahā magas kī sūrat
shohra to rahā mirā mire ba.ad
ai ġham mirī jaan khā chukā tū
kyā hogī terī ġhizā mire ba.ad
be-jurm kiyā jo qatl mujh ko
jallād ḳhajil huā mire ba.ad
rūThā rahā yuuñ to umr bhar vo
turbat se gale lagā mire ba.ad
baaqī na rahā jahāñ meñ 'ājiz'
kuchh lutf zabān kā mire ba.ad