mire ḳhayāl kā saaya jahāñ paḌā hogā
ba-rañg-e-rañg-e-tilism-e-ravāñ paḌā hogā
vafūr-e-yās meñ ummīd jab jalī hogī
samay kī aañkh meñ kuchh to dhuāñ paḌā hogā
utar ga.ī jo añdheroñ meñ hañs ke us pahlī
kiran kā paañv na jaane kahāñ paḌā hogā
shu.ūr-e-nau ke jab ā.īne uḌ rahe hoñge
ajiib aks-e-mah-o-kahkashāñ paḌā hogā
har āh-e-sard laboñ tak pahuñch ga.ī hogī
har āh-e-sard kā dil par nishāñ paḌā hogā
kise ḳhabar thī ki gulchīñ kī qaid meñ ik din
guloñ ke sāmne ḳhud bāġhbāñ paḌā hogā
qasam tirī mire maulā vo din qarīb hai jab
zamīñ ke paañv tirā āsmāñ paḌā hogā