vo bastiyāñ vo baam vo dar kitnī duur haiñ
mahtāb tere chāñd-nagar kitnī duur haiñ
vo ḳhvāb jo ġhubār-e-gumāñ meñ nazar na aa.e
vo ḳhvāb tujh se dīda-e-tar kitnī duur haiñ
bām-e-ḳhayāl-e-yār se utre to ye khulā
ham se hamāre shām-o-sahar kitnī duur haiñ
ai āsmān in ko jahāñ honā chāhiye
us ḳhaak se ye ḳhāk-basar kitnī duur haiñ
baiThe biThā.e dil ke safar par chale to aa.e
lekin vo mehrbān-e-safar kitnī duur haiñ
ye bhī ġhazal tamām huī shaam ho chukī
afsūn-e-shā.irī ke hunar kitnī duur haiñ