jaatā hai kaun aap se jallād kī taraf
khīñchā is āb-o-dāna ne sayyād kī taraf
nā-ḳhush hai āshiqoñ se bahut āj-kal vo shoḳh
badle karam ke tab.a hai bedād kī taraf
mashshāta jazb-e-dil sā koī dūsrā nahīñ
shīrīñ ko khīñch le gayā farhād kī taraf
ishq-e-butāñ hai ḳhvāb-e-farāmosh ai ḳhudā
aayā hai phir ḳhayāl tirī yaad kī taraf
detī nahīñ nazākat use hukm qatl kā
jaatā huuñ dauḌ dauḌ ke jallād kī taraf
aatā hai qadd-e-yār chaman meñ mujhe jo yaad
hairat se takne lagtā huuñ shamshād kī taraf
ye kyā sabab hai kāfir-o-dīñ-dār sab hue
yārab usī but-e-sitam-ījād kī taraf
'ājiz' chhuḌā.e baḳht agar qaid-e-zīst se
aa.uuñ kabhī na ālam-e-ījād kī taraf