Peer Sher Mohammad Ajiz

na to main hur ka maftun na pari ka aashiq

Peer Sher Mohammad Ajiz

na to maiñ huur kā maftūñ na parī kā āshiq
ḳhaak ke putle kā hai ḳhaak kā putlā āshiq
saḳht-jānī se faqat maiñ hī rahā huuñ zinda
mar ga.e varna ġham-e-hijr se kiyā kyā āshiq
sarv-o-qumrī gul-o-bulbul haiñ usī ke jalve
aap ma.ashūq hai vo aap hai apnā āshiq
ishq-e-kāmil meñ to hājat amal-e-hub kī nahīñ
qais ma.ashūq banā ho ga.ī liilā āshiq
band āñkheñ thiiñ abhī mujh ko jo laayā sayyād
na to huuñ sarv kā vārafta na gul kā āshiq
pahle hī kātib-e-taqdīr ne likkhā thā hameñ
terā banda tirā fidvī tirā rusvā āshiq
aarzū hai mirī mayyat pe vo ro.e kah kar
hai ye 'ājiz' mirā shaidā mirā pyārā āshiq
Top Urdushayar.com