Peer Sher Mohammad Ajiz

bahaar aai kar ai baghban gulab qalam

Peer Sher Mohammad Ajiz

bahār aa.ī kar ai bāġhbāñ gulāb qalam
ki likkhe vasf-e-ruḳh-e-yār kī kitāb qalam
na khīñche chehra-e-pur-nūr par naqāb qalam
kare na kāġhaz-e-tasvīr ko ḳharāb qalam
jo qasd ho ruḳh-e-raushan ke vasf likhne kā
falak se le varaq-e-māh-o-āftāb qalam
hikāyat-e-dil-e-be-tāb tuul rakhtī hai
na kar tū likhne meñ itnā bhī iztirāb qalam
bayān-e-zulf-e-chalīpā meñ qit.a likh likh kar
dikhā.e ḳhatt-e-shikasta kā pech-o-tāb qalam
hubāb se bhī bahut kam hai ziist kā vaqfa
hadīs-e-kashtī-e-mai meñ chale shitāb qalam
likhe na ātish-e-mai kī hikāyateñ aage
jigar na bāda-kashoñ ke kare kabāb qalam
shabīh khīñgā ik gul ke qadd-e-mauzūñ kī
likhegā misra-e-shamshād kā javāb qalam
hikāyat-e-shab-e-hijrāñ likho na ai 'ājiz'
hamārī jān-e-hazīñ kā na ho azaab qalam
Top Urdushayar.com