Peer Sher Mohammad Ajiz

aae hain baada-nosh baDi aan-ban par

Peer Sher Mohammad Ajiz

aa.e haiñ bāda-nosh baḌī ān-bān par
mela lagā hai pīr-e-muġhāñ kī dukān par
saaqī atā ho ab mujhe sāġhar sharāb kā
chhā.ī huī hai kaisī ghaTā āsmān par
rote haiñ tere ishq meñ ai rashk-e-māh jab
karte haiñ log ḳhanda hamārī fuġhān par
paidā huā asar na kabhī merī aah meñ
khāyā na us ne rahm kabhī be-zabān par
ai kaash ye nasīb kareñ itnī yāvarī
pahuñchūñ kabhī maiñ shab ko tumhāre makān par
kis shaan se vo aaj ga.e haiñ adū ke ghar
mujh se bigaḌ ke pahuñche haiñ vo āsmān par
allāh shab-e-firāq meñ vo āh-o-zāriyāñ
har vaqt sadme kaise haiñ mujh nīm-jān par
likkhā jo ḳhatt-e-shauq unheñ maiñ ne hijr meñ
rone lage raqīb bhī mere bayān par
yārab tire hī fazl kā umīd-vār huuñ
khātā nahīñ hai rahm koī nā-tavān par
har-dam tire firāq meñ phirtā huuñ sū-ba-sū
lākhoñ balā.eñ aatī haiñ 'ājiz' kī jaan par
Top Urdushayar.com