Mahtab Haider Naqvi

kas-o-na-kas hain bahut dast-e-talab ke aage

Mahtab Haider Naqvi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1955
kas-o-nā-kas haiñ bahut dast-e-talab ke aage
sar-e-pindār jhukā jaatā hai sab ke aage
mujh se vābasta azal se hai yahī mauj-e-sarāb
kab se maiñ tishna-dahan huuñ tire lab ke aage
apne sūraj ko bhalā kis ke muqābil rakhiye
maañd paḌ jaate haiñ sab taab ke tab ke aage
aaj bhī huuñ maiñ isī girya-e-shab meñ mahsūr
jin ko jaanā thā vo sab jā chuke kab ke aage
bas isī vāste raushan hai ye ġham-ḳhāna-e-dil
ik sahar bhī hai kahīñ par mirī shab ke aage
aur kyā daulat-e-parvez milegī tujh ko
hech haiñ naqd-o-guhar sher-o-adab ke aage
Top Urdushayar.com