kyā ḳhabar thī inqalāb āsmāñ ho jā.egā
qorma qaliya nasīb-e-ahmaqāñ ho jā.egā
zulmat-e-bātil ke dāman meñ chhupegā nūr-e-haq
daal kī āġhosh meñ qiima nihāñ ho jā.egā
cake biscuit khā.eñge ullū-ke-paTThe raat din
aur sharīfoñ ke liye aaTā girāñ ho jā.egā
control us ke lab-e-shīrīñ pe gar yuuñ hī rahā
khāñD kā sharbat nasīb-e-dushmanāñ ho jā.egā
ai bhune tītar na Dar bāvarchiyoñ kī qaid se
peT merā terī ḳhātir āshiyāñ ho jā.egā
ai sikandar murġh kā hai shorbā āb-e-hayāt
ḳhizr bhī is ko agar pī le javāñ ho jā.egā
jab ye kahtā huuñ ki kuchh sāmān-e-dāvat kījiye
vo ye kah kar Taal dete haiñ ki haañ ho jā.egā