Aziz Ansari

phul jo dil ki rahguzar mein hai

Aziz Ansari

phuul jo dil kī rahguzar meñ hai
jaane kis ke vo intizār meñ hai
fikr bhī lutf-e-intizār meñ hai
be-qarārī bhī kuchh qarār meñ hai
zindagī tujh se kyā umiid rakhūñ
tū kahāñ mere iḳhtiyār meñ hai
apnā dushman hai ye jahāñ saarā
kitnī tāqat hamāre pyaar meñ hai
koī harakat nahīñ hai Daalī meñ
kyā parinde ke intizār meñ hai
kar sako to use karo mahsūs
ek lazzat jo nok-e-ḳhār meñ hai
vo jo aage thā jāñ-nisāroñ meñ
sab se pīchhe vahī qatār meñ hai
dhuul bhī mo'atabar hai raste kī
kārvāñ kā nishāñ ġhubār meñ hai
amn aur āshtī se us ko kyā
us kā maqsad to intishār meñ hai
dard to uñgliyoñ se miltā hai
varna āvāz to sitār meñ hai
kal bhī vo merā muntazir thā 'azīz'
aaj bhī mere intizār meñ hai
Top Urdushayar.com