Aziz Ansari

ghar se bahar nikal kar

Aziz Ansari

ghar se bāhar nikal kar
duniyā ko bhī dekhā kar
fasleñ kaaT burā.ī kī
achchhā.ī ko boyā kar
nekī Daal ke dariyā meñ
apne aap se dhokā kar
sab ko paḌhtā rahtā hai
apne aap ko samjhā kar
būḌhe bargad ke nīche
dil TuuTe to baiThā kar
mahfil mahfil hañstā hai
tanhā.ī meñ royā kar
duniyā pīchhe aa.egī
dekh to duniyā Thukrā kar
paḌh ke sab kuchh sīkhegā
dekh ke bhī kuchh sīkhā kar
dushman hoñ yā dost 'azīz'
sab ko apnā samjhā kar
Top Urdushayar.com