Mahtab Haider Naqvi

ahl-e-duniya dekhte hain kitni hairani ke sath

Mahtab Haider Naqvi

Hardoi, Uttar pradesh, India

1955
ahl-e-duniyā dekhte haiñ kitnī hairānī ke saath
zindagī ham ne basar kar lī hai nādānī ke saath
ik tamannāoñ kā bahr-e-be-karāñ thā aur ham
kashti-e-jāñ ko bachā laa.e haiñ āsānī ke saath
ab kise dil ke dhaḌakne kī sadā.eñ yaad haiñ
ye bhī hañgāma gayā is ghar kī vīrānī ke saath
ai havā tū ne to saare mārke sar kar liye
sub.h-e-fardā paas baiThī hai pashīmānī ke saath
dasht-e-vahshat se bhalā kartā hai āñkheñ chaar kaun
shahr baḌhte jā rahe haiñ apnī uryānī ke saath
tū nahīñ aatā na aa ai dost ab terī tarah
ham bhī chal nikle haiñ apne dushman-e-jānī ke saath
Top Urdushayar.com