Aziz Ansari

achchhai se nata joD warna phir pachhtaega

Aziz Ansari

achchhā.ī se naatā joḌ varna phir pachhtā.egā
ulTe-sīdhe dhande chhoḌ varna phir pachhtā.egā
mustaqbil kī tayyārī karne meñ hai hushyārī
vaqt se aage tū bhī dauḌ varna phir pachhtā.egā
dīvāreñ jo haa.il haiñ terī haar pe maa.il haiñ
dīvāroñ se sar mat phoḌ varna phir pachhtā.egā
daulat dene se izzat bachtī hai to kar himmat
sāmne rakh de ek karoḌ varna phir pachhtā.egā
ashk-e-nadāmat se dil kā bhīgā dāman hai achchhā
us dāman ko to na nichoḌ varna phir pachhtā.egā
jhūTī-sachchī kah kar jo tujh ko rusvā kartā ho
tū bhī us kā bhāñDā phoḌ varna phir pachhtā.egā
shāḳh pe rah ke pak jaa.eñ apne aap hī thak jaa.eñ
tū ye kachche phal mat toḌ varna phir pachhtā.egā
shaitānī panja kyā chiiz ek mujāhid tū hai 'azīz'
shaitānī panje ko maroḌ varna phir pachhtā.egā
Top Urdushayar.com