Aziz Ansari

hum usko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain

Aziz Ansari

ham us ko bhuul baiThe haiñ añdhere ham pe taarī haiñ
magar us ke karam ke silsile duniyā pe jaarī haiñ
kareñ ye sair kāroñ meñ ki uḌ leñ ye jahāzoñ meñ
farishta maut kā kahtā hai ye merī savārī haiñ
na un ke qaul hī sachche na un ke tol hī sachche
ye kaise desh ke tājir haiñ kaise byopārī haiñ
hamārī muflisī āvārgī pe tum ko hairat kyuuñ
hamāre paas jo kuchh hai vo sauġhāteñ tumhārī haiñ
nasab ke ḳhuun ke rishte hoñ yā piine pilāne ke
kalā.ī par bañdhe dhāge ke rishte sab pe bhārī haiñ
ye apnī bebasī hai yā ki apnī be-hisī yaaro
hai apnā haath un ke sāmne jo ḳhud bhikārī haiñ
hameñ bhī dekh le duniyā kī raunaq dekhne vaale
tirī āñkhoñ meñ jo āñkheñ haiñ vo āñkheñ hamārī haiñ
azīz-e-nā-tavāñ ke sāmne kohsār-e-ġham halkā
magar ehsān ke tinke azal se un pe bhārī haiñ
Top Urdushayar.com