ba-nām-e-amn-o-amāñ kaun maarā jā.egā
na jaane aaj yahāñ kaun maarā jā.egā
liye hue haiñ sabhī apnā sar hathelī par
kise ḳhabar hai kahāñ kaun maarā jā.egā
ajiib ma.arka barpā hai, kuchh ḳhabar hī nahīñ
kise milegī amaañ kaun maarā jā.egā
namāz paḌhne kī mohlat mile, mile na mile!
na jaane vaqt-e-azāñ kaun maarā jā.egā
jo tiir bhī hai, itā.at-guzār hai us kā
ye jāntī hai kamāñ kaun maarā jā.egā
kiye ga.e haiñ jo itne hifāzatī iqdām
ye dekhnā hai yahāñ kaun maarā jā.egā
kisī ke lab pe 'nasīm'-e-sahar duā kaisī
yahī hai vird-e-zabāñ kaun maarā jā.egā