sūraj ke ham-safar haiñ hamārī umañg ye
aur sāmne hamāre hai kaalī surañg ye
merī tarah ye dil ke lahū meñ nahā.e haiñ
be-vaj.h to nahīñ hai gulāboñ kā rañg ye
is ma.arke meñ kaam jo ham aa ga.e to kyā
jaarī rahegī ba.ad hamāre bhī jañg ye
ik lams mil gayā thā mujhe tere dhyān kā
ab umr-bhar utarne nahīñ dūñgā rañg ye
sharminda huuñ na dost muzir is liye huuñ maiñ
aate haiñ dushmanoñ kī taraf hī se sañg ye
aa.ī huī giraft meñ hai gard-bād kī
ab jañgaloñ meñ jā ke giregī patañg ye
ra.anā.iyāñ ajiib sī haiñ yād-e-yār meñ
ḳhushbū ye ḳhushbuoñ meñ hai rañgoñ meñ rañg ye