Naseem Sahar

jo yaad-e-yar se guft-o-shunid kar li hai

Naseem Sahar

1944
jo yād-e-yār se guft-o-shunīd kar lī hai
to goyā phuul se ḳhushbū kashīd kar lī hai
judā.iyoñ meñ bhī DhūñDī haiñ qurbateñ maiñ ne
zarar-rasāñ thī jo shai vo mufīd kar lī hai
nahīñ khule the jo manzar mirī basārat par
tasavvurāt meñ un kī bhī diid kar lī hai
sitāre Taañk diye haiñ falak kī chādar par
aur apnī chādar-e-shab be-navīd kar lī hai
maiñ chāhtā to use kuchh qarīb le aatā
masarratoñ kī jo saa.at ba.iid kar lī hai
use to dukh hī nahīñ kuchh mirī judā.ī kā
sazā ḳhud apne liye hī shadīd kar lī hai
use bhulāne kī koshish meñ yaad kar kar ke
ḳhud apnī ziist hī mushkil mazīd kar lī hai
husain ibn-e-alī kī taraf hī lauTeñge
jinhoñ ne bai.at-e-fikr-e-yazīd kar lī hai
atā-e-'mīr' hai mujh par ki maiñ ne bhī raushan
ġhazal kī sham.a ba-tarz-e-jadīd kar lī hai
jachā hai ab kahīñ jā kar 'nasīm' jāma-e-zīst
kahīñ kahīñ se jo qat-o-burīd kar lī hai
Top Urdushayar.com