Naseem Sahar

thake huon ko jo manzil kaThin ziyaada hui

Naseem Sahar

1944
thake huoñ ko jo manzil kaThin ziyāda huī
safar kā azm-e-musammam lagan ziyāda huī
udaas peḌoñ ne pattoñ kī bheñT de dī hai
ḳhizāñ meñ raunaq-e-sahn-e-chaman ziyāda huī
zabāñ pe habs kī ḳhvāhish machal machal uThī
havā chalī to gharoñ meñ ghuTan ziyāda huī
safar kā marhala-e-saḳht hī ġhanīmat thā
Thahar ga.e to badan kī thakan ziyāda huī
kabhī to sard lagā dopahar kā sūraj bhī
kabhī badan ke liye ik karan ziyāda huī
urūs-e-zīst pe yuuñ bhī nikhār kyā kam thā
lahū libās kiyā to phaban ziyāda huī
talab ke hoñToñ pe āsūdgī kā lafz kahāñ?
talab vasīla-e-dār-o-rasan ziyāda huī
'nasīm' kis ko thā tahzīb-e-fan kā dhyān yahāñ
hamāre ahd meñ tash.hīr-e-fan ziyāda huī
Top Urdushayar.com