aap hī apnā safar dushvār-tar maiñ ne kiyā
kyuuñ malāl-e-furqat-e-dīvār-o-dar maiñ ne kiyā
mere qad ko nāpnā hai to zarā is par nazar
choTiyāñ ūñchī thiiñ kitnī jin ko sar maiñ ne kiyā
chal diyā manzil kī jānib kārvāñ mere baġhair
apne hī shauq-e-safar ko ham-safar maiñ ne kiyā
manzileñ detī na thiiñ pahle mujhe apnā surāġh
phir junūñ meñ manziloñ ko rahguzar maiñ ne kiyā
har qadam kitne hī darvāze khule mere liye
jaane kyā sochā ki ḳhud ko dar-ba-dar maiñ ne kiyā
lafz bhī jis ahd meñ kho baiThe apnā e'tibār
ḳhāmushī ko is meñ kitnā mo'tabar maiñ ne kiyā
zindagī tartīb to detī rahī mujh ko 'nasīm'
apnā shīrāza magar ḳhud muntashar maiñ ne kiyā