Naseem Sahar

dhup se jism bachae rakhna kitna mushkil hai

Naseem Sahar

1944
dhuup se jism bachā.e rakhnā kitnā mushkil hai
ḳhud ko saa.e saa.e rakhnā kitnā mushkil hai
zāhir meñ jo rasta sīdhā lagtā ho us par
apne pair jamā.e rakhnā kitnā mushkil hai
āvāzoñ kī bhiiḌ meñ itne shor-sharābe meñ
apnī bhī ik raa.e rakhnā kitnā mushkil hai
ham se pūchho ham dil ko samjhāyā karte the
vahshī ko samjhā.e rakhnā kitnā mushkil hai
sirf parinde ko ma.alūm hai tez havāoñ meñ
apne par phailā.e rakhnā kitnā mushkil hai
aaj kī raat havā.eñ behad sarkash lagtī haiñ
aaj charāġh jalā.e rakhnā kitnā mushkil hai
dostiyoñ aur dushmaniyoñ kī zad meñ rah ke 'nasīm'
apnā-āp bachā.e rakhnā kitnā mushkil hai
Top Urdushayar.com