Naseem Sahar

jab KHabar hi na koi mausam-e-gul ki aai

Naseem Sahar

1944
jab ḳhabar hī na koī mausam-e-gul kī aa.ī
kāġhzī phuul pe kuchh soch ke titlī aa.ī
sabz pattoñ ne bhī shāḳhoñ se baġhāvat kar dī
aaj is shahr meñ kis zor kī āñdhī aa.ī
ab ye bastī huī dīvāroñ kī kasrat kā shikār
ab yahāñ rahne meñ be-tarah ḳharābī aa.ī
qahqaha shab ne lagāyā hai baḌe tanz ke saath
sub.h jab apnī rihā.ī pe bhī rotī aa.ī
aañkh ik abr ke TukḌe ko taras jaatī thī
bārishoñ se jahāñ ab itnī tabāhī aa.ī
rāt-bhar sub.h kī ummīd pe zinda thā marīz
sub.h hote hī use āḳhirī hichkī aa.ī
mar gayā habs kī bastī meñ jūñhī koī 'nasīm'
nauha-ḳhvānī ko vahāñ taaza havā bhī aa.ī
Top Urdushayar.com