buuñd paanī ko mirā shahr taras jaatā hai
aur bādal hai ki dariyā pe baras jaatā hai
ātishīñ dhuup se miltī hai kabhī jis ko numū
vahī paudā kabhī bārish se jhulas jaatā hai
raah tashkīl vo arbāb-e-vafā ne kī thī
ab jahāñ qāfila-e-ahl-e-havas jaatā hai
ho chukī bū-e-vafā shahr se ruḳhsat kab kī
koī din hai ki phaloñ meñ se bhī ras jaatā hai
aadmī par vo kaḌā vaqt bhī aatā hai ki jab
saañs lene pas-e-dīvār-e-qafas jaatā hai
tum bhare shahr meñ kis Dhañg se rahte ho 'nasīm'
goyā vīrāne meñ jā kar koī bas jaatā hai